ek to wada ki tumhein chhoD ke jaana bhi na tha

ek to wada ki tumhein chhod ke jaana bhi na tha
dusra koi bichhadne ka bahana bhi na tha

kaghzi naw mein saman mera lakhon ka
aur dariya ke siwa koi thikana bhi na tha

kat kar ped makan apna banana tha magar
un parindon ke makanon ko girana bhi na tha

inqalab aaega sunte hain zarur aaega
thak gai aankh magar us ko sulana bhi na tha

roz-e-awwal se hi tum bandh ke rakhte saman
ab yahan dil nahin lagta to lagana bhi na tha

apne sheron se jari ki hai tere aanchal ki
is se nayab mere pas khazana bhi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close