ek tu hi nahin nasiya-farsa mere aage

ek tu hi nahin nasiya-farsa mere aage
har shakhs hai mahrum-e-tamanna mere aage

ai zist tujhe yaad hain andaz-e-junun-khez
jab zarra-e-sahra bhi tha sahra mere aage

wo daur ki dariya bhi tha ek qatra-e-be-ab
ab qatra-e-be-ab hai dariya mere aage

ai dawar-e-mahshar wo ghadi yaad hai tujh ko
jab laya gaya mera sarapa mere aage

rota hai mera jazba-e-dil dekh ke majnun
be-parda chali aati hai laila mere aage

likkha hai tera nam samundar pe hawa ne
ai dost na kar us ka yun charcha mere aage

yusuf to hai kanan mein paband-e-salasil
shishe mein utarti hai zulekha mere aage

ai aah agar chhod dun main zabt ka daman
udne lage khak-e-rukh-e-sahra mere aage

bulbul ka lahu kucha-e-qatil mein baha yun
jaise ho koi mauja-e-dariya mere aage

afsos hua band sanam-khana-e-azar
naseh na suna aa ke ye muzhda mere aage

wo fitna-e-mahshar hai magar mohr-ba-lab hai
jaise ho koi mom ki gudiya mere aage

zahid ke liye khol de maikhane ka dar aaj
bismil sa tadapta hai ye pyasa mere aage

tasir na hoti jo meri chashm-e-fusun mein
shishe sa na saqi kabhi girta mere aage

khush-bakht tha wo daur 'muzaffar' ki chaman mein
tuta na kabhi shakh se ghuncha mere aage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close