ek wo bhi din the tujhse mera rabta na tha

ek wo bhi din the tujh se mera rabta na tha
sanjidgi se tere liye sochta na tha

nafrat mili to zom-e-wafa tut tut kar
bikhra kuchh is tarah ki koi wasta na tha

kamre mein phailti hi gai raushni ki lahr
kirnon ka jal tha ki kahin tutta na tha

dekha tujhe to chand bhi pedon mein chhup gaya
waise to shahr bhar mein koi chand sa na tha

wo apni zat mein hi muqayyad raha 'niyaz'
sab dekhte the us ko koi dhundhta na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close