faeda hai ya KHasara hum ko sab malum hai

faeda hai ya khasara hum ko sab malum hai
kyon karen hum istikhara hum ko sab malum hai

log kyon khud ko batate hain hamara khair-khwah
kaun hai kitna hamara hum ko sab malum hai

kis ke ghar mein tirgi ka raj tha kal raat ko
chand kis ke ghar utara hum ko sab malum hai

zindagi hai nam jis ka zindagi hargiz nahin
kar rahe hain sab guzara hum ko sab malum hai

sau samundar aankh mein to sau kinare hath par
kya samundar kya kinara hum ko sab malum hai

kya khuli hai kaenati ramz ki sachchi kitab
kya hua hai aashkara hum ko sab malum hai

jaan de kar hi bachaya hum ne is dastar ko
phir utha hai sar hamara hum ko sab malum hai

apni aadat se to waqif hi nahin ab tak ye log
laut aaenge dobara hum ko sab malum hai

chand zarra hai hamari hi zamin ka 'iftikhar'
aasman hai ek sitara hum ko sab malum hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close