faiz tha uske tasawwur ka jo chashm-e-tar tak

faiz tha us ke tasawwur ka jo chashm-e-tar tak
qafile rang ke khinch aae hamare ghar tak

dekhte ahl-e-jahan zauq-e-wafa ke jauhar
us ki talwar hi pahunchi na hamare sar tak

tere kuche ki faza aur hi kuchh hai yun to
nazren ho aai hain duniya ke har ek manzar tak

ai khirad tujh se kisi dil ko jagaya na gaya
ishq ke hath mein to bol uthe patthar tak

hum to mausam ke ishaaron se bahak jate hain
mai-kashi kuchh nahin mahdud khum-o-saghar tak

maut aa jae bas ek sajda-e-pur-shauq ke baad
kash ho jae rasai kabhi tere dar tak

kya ho anjam taraqqi ka khuda jaane 'jalil'
shorish-e-aql se larzan hain mah-o-akhtar tak


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close