faqih-e-shahr se rishta banae rahta hun sharif ghar ka hun izzat bachae rahta hun magar ye rah to is tarah tai nahin hogi main donon panw zamin par jamae rahta hun akele shakhs pe dushman diler hote hain to sath mein koi qissa lagae rahta hun banae kuchh nahin banti zamin pe jab mujh se to aasman ko sar par uthae rahta hun abhi kahan koi naubat hai marne jine ki zara azizon ko yun hi darae rahta hun kisi faqir ke tawiz ki tarah 'zaidi' main zer-e-sang tamanna dabae rahta hun