faqirana tabiat thi bahut bebak lahja tha

faqirana tabiat thi bahut bebak lahja tha
kabhi mujh mein bhi hansta-khelta ek shakhs rahta tha

bagule hi bagule hain meri viran aankhon mein
kabhi in rahguzaron mein koi dariya bhi bahta tha

tujhe jab dekhta hun to khud apni yaad aati hai
mera andaz hansne ka kabhi tere hi jaisa tha

kabhi parwaz par meri hazaron dil dhadakte the
dua karta tha koi to koi khush-bash kahta tha

kabhi aise hi chhai thin gulabi badliyan mujh par
kabhi phulon ki sohbat se mera daman bhi mahka tha

main tha jab karwan ke sath to gulzar thi duniya
magar tanha hua to har taraf sahra hi sahra tha

bas itna yaad hai soya tha ek ummid si le kar
lahu se bhar gain aankhen na jaane khwab kaisa tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close