faqiri mein ye thoDi si tan-asani bhi karte hain

faqiri mein ye thodi si tan-asani bhi karte hain
ki hum dast-e-karam duniya pe arzani bhi karte hain

dar-e-ruhaniyan ki chaakari bhi kaam hai apna
buton ki mamlikat mein kar-e-sultani bhi karte hain

junun walon ki ye shaistagi turfa-tamasha hai
rafu bhi chahte hain chaak-damani bhi karte hain

mujhe kuchh shauq-e-nazzara bhi hai phulon ke chehron ka
magar kuchh phul chehre meri nigrani bhi karte hain

jo sach puchho to zabt-e-arzu se kuchh nahin hota
parinde mere sine mein pur-afshani bhi karte hain

hamare dil ko ek aazar hai aisa nahin lagta
ki hum daftar bhi jate hain ghazal-khwani bhi karte hain

bahut nauhagari karte hain dil ke tut jaane ki
kabhi aap apni chizon ki nigahbani bhi karte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close