farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir

farhad kis ummid pe lata hai ju-e-shir
wan khun ki hawas hai nahin aarzu-e-shir

hai us jawan ki baat mein ab to lahu ki bas
we din gae ki aati thi us munh se bu-e-shir

hote hi subh aah gaya mah-e-chaar-dah
sabit hua mujhe ki namak hai adu-e-shir

hasrat hi dil mein kohkan aakhir ye le gaya
shirin ne apni aankhon bhi dekha na ru-e-shir

us dudh ka khuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir

aashiq hain apne khun-e-jigar-khwar zahr-nosh
raghbat taraf shakar ke hai un ko na su-e-shir

jin ko baghair sai wo shirin-dahan mile
kho den na koh wo na karen justuju-e-shir

milte hi us se dil ki girah mere khul gai
uqde shakar ke jaise khulen ru-ba-ru-e-shir

phir dudh ki budhape mein aawe na munh se bas
aakhir kahan talak ye 'bayan' guftugu-e-shir


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close