farishte bhi pahunch sakte nahin wo hai makan apna thikana dhunde daur-e-zamin-o-asman apna khuda jabbar hai har banda bhi majbur o tabe hai do aalam mein nazar aaya na koi mehrban apna nigah-e-muztarib phir dhundti hai kis ko har shai mein zamin apni aziz apne khuda-e-do-jahan apna guzarne ko to guzre ja rahe hain rah-e-hasti se magar hai karwan apna na mir-e-karwan apna na wo parwaz ki quwwat na wo dil ki umang ab hai hui muddat chaman chhute qafas hai aashiyan apna paheli khud thi hasti ishq ne kuchh aur uljhai koi ai 'sehr' kya samjhe nahin main raaz-dan apna