farishte imtihan-e-bandagi mein humse kam nikle

farishte imtihan-e-bandagi mein hum se kam nikle
magar ek jurm ki padash mein jannat se hum nikle

gham-e-duniya-o-din un ko na fikr-e-nek-o-bad un ko
mohabbat karne wale be-niyaz-e-besh-o-kam nikle

gharaz kabe se thi jin ko na tha matlab kalisa se
had-e-dair-o-haram se bhi wo aage do-qadam nikle

sahar ki manzil-e-raushan pe ja pahunche wo diwane
shab-e-tarik mein jo nur ka le kar alam nikle

mah-o-khurshid ban kar aasmanon par hue raushan
do aansu wo meri aankhon se jo sham-e-alam nikle

sukut-e-shab mein hum ne ek rangin khwab dekha tha
masarrat jawedan hogi agar tabir-e-gham nikle

na milti hon sharab-e-zindagi ki talkhiyan jin mein
suna hai wo 'ziya' ke dil se aise sher kam nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close