fariyaad bhi main kar na saka be-KHabari se

fariyaad bhi main kar na saka be-khabari se
dil khinch liya us ne kamand-e-nazari se

us but ko kiya ram na soz-e-jigri se
nale mere badnam hue be-asari se

kab dil pe asar karta hai zalim ka tamalluq
milte hain kahin zakhm-e-jigar bakhiya-gari se

hai saya-fagan taza nihaal-e-chaman-e-husn
nisbat mere dil ko hai aqiq-e-shajri se

ud jate tere hosh mere naghmon se bulbul
kar shukr ki majbur hun be-baal-o-pari se

har lutf se khali hai farogh-e-dam-e-piri
raushan hua ye nur charagh-e-sahari se

daman ki kali baad-e-saba khol sake kab
satir nahin darte hain kabhi parda-dari se

ulfat ka shajar sarw-qadon ki hai hari shakh
ushshaq ko bawar hua ye be-samari se

kahte hain wo sun kar khabar-e-rehlat-e-ushshaq
jaldi gaya kahna tha hamein kuchh safari se

hon lakh khatar kucha-e-dilbar na chhutega
uth sakti hai zillat bhi kahin mard-e-jari se

nafrat nahin lazim tujhe zalim ewaz-e-rahm
baitha hun main dil kho ke teri hila-gari se

aamil karen ek bar agar band to mai-kash
khali karen sau martaba shishe ko pari se

kar dete hain yun harza-dara ko kamla-band
lab zakhm ke jis tarah milen bakhiya-gari se

aghyar hue kab meri nakaami ka bais
mahrumiyan paida huin aashufta-sari se

kar ghair ko apna ki muradon ka nishan de
bekar wo paikan hai juda ho jo sari se

aamal-e-'habib'-e-jigar-afgar ki kashti
sahil pe pahunch jaegi ashkon ki tari se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close