farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai

farogh-e-dida-wari ka zamana aaya hai
dilon ki be-khabari ka zamana aaya hai

khirad se kah do ki tanha na kat sakegi ye rah
junun ki ham-safari ka zamana aaya hai

pahnao lala-o-nasrin ko taj kanton ka
tilism-e-khush-nazari ka zamana aaya hai

nawed di hai ye mahrumi-e-mohabbat ne
dua ki be-asari ka zamana aaya hai

nikhaar aane laga phir kharaba-e-jaan par
ye kis ki jalwagari ka zamana aaya hai

kaho saba se ye warafta-haaliyan chhode
shuur-e-nama-bari ka zamana aaya hai

kahan wo daur ki yak-guna be-khudi mangen
surur-e-khud-nigri ka zamana aaya hai

bahaar lai hai ab ke payam aur hi kuchh
dilon ki bakhiya-giri ka zamana aaya hai

sukut-e-nim-shabi se guzar chalo 'hurmat'
ki nala-e-sahari ka zamana aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close