farsh-e-zamin pe barg-e-KHizani ka rang hai

farsh-e-zamin pe barg-e-khizani ka rang hai
diwar-o-dar pe naql-e-makani ka rang hai

aankhon mein tairte hain safine widaa ke
lahje mein aab-ju ki rawani ka rang hai

ifraat-e-chashm-o-lab ki kahin sidhiyon mein thi
lekin chhaton pe qaht-o-girani ka rang hai

galon pe ek lakir si sailab-e-ashk se
diwar par kahin kahin pani ka rang hai

surkhi ke sath aam sa be-sharh waqia
taswir mein ajib maani ka rang hai

qasid ke donon hath khule lab khamosh hain
kuchh aankh mein payam-e-zabani ka rang hai

logon ne shauq-e-sabz mein pakne na di ye fasl
har-chand surkh ahd-e-jawani ka rang hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close