farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise

farz barson ki ibaadat ka ada ho jaise
but ko yun puj rahe hain ki khuda ho jaise

ek pur-pech ghina ek hariri naghma
hae wo husn ki jangal ki sada ho jaise

ishq yun wadi-e-hijran mein hua mahw-e-khiram
kharzaron mein koi aabla-pa ho jaise

aarizon par wo tere tabish-e-paiman-e-wafa
chandni raat ke chehre pe haya ho jaise

is tarah dagh damakte hain dil-e-wahshi par
qais ke jism pe phulon ki aba ho jaise

kitna dilkash hai teri yaad ka pala hua ashk
sina-e-khak pe mahtab gira ho jaise

ratjage wo bhi nashat-e-gham-e-mahbub ke sath
husn walon ne bada kaam kiya ho jaise

hijr ki raat ajab rang hai paimane ka
dast mai-khwar mein bujhta sa diya ho jaise

khak-e-dil par tere sayyal tasawwur ka khiram
reg-e-sahra pe rawan baad-e-saba ho jaise

aaj us shokh ki chitwan ka ye aalam hai 'zahir'
husn apni hi adaon se khafa ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close