faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi

faza-e-sehn-e-gulstan hai sogwar abhi
khizan ki qaid mein hai yusuf-e-bahaar abhi

abhi chaman pe chaman ka guman nahin hota
qaba-e-ghuncha ko hona hai tar tar abhi

abhi hai khanda-e-gul bhi agar to zer-e-labi
ruka ruka sa hai kuchh naghma-e-hazar abhi

chaman to khair chaman hai nawa-garon ko nahin
khud apni shakh-e-nasheman pe ikhtiyar abhi

abhi umid ki sarson kahin na phuli
basant ka hai zamane ko intizar abhi

tahi-subui kisi ki ye kah rahi hai 'sharif'
nizam-e-mai-kada badlega ek bar abhi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close