fida-e-dilbar-e-rangin-ada hun shahid-e-shahid-e-gul-gun-qaba hun har ek mah-ru ke milne ka nahin zauq sukhan ke aashna ka aashna hun kiya hun tark nargis ka tamasha talab-gar-e-nigah-e-ba-haya hun na kar shamshad ki tarif mujh pas ki main us sarw-qad ka mubtala hun kiya main arz us khurshid-ru sun tu shah-e-husn main tera gada hun sada rakhta hun shauq us ke sukhan ka hamesha tishna-e-ab-e-baqa hun qadam par us ke rakhta hun sada sar 'wali' ham-mashrab-e-rang-e-hina hun