fikr ke sare dhage TuTe zehn bhi ab mazur hua

fikr ke sare dhage tute zehn bhi ab mazur hua
ab ke bahaar ye kaisi aai kaisa ye dastur hua

kal-purzon ka ruh-e-rawan ye aur wo sarmae ki jonk
lekin us ki nazron mein ye dharti ka nasur hua

din ki safedi teri nazar mein raat ki kali chadar hai
raat ka khuni andhiyara bhi teri nazar mein nur hua

jab se dekha hai kheton mein main ne zalim dhup ka rup
tab se teri zulf ka saya dur bahut hi dur hua

zulm ko us ne zulm kaha hai jabr ko us ne jabr kaha
yani 'ziya' ab 'ziya' nahin hai waqt ka wo mansur hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close