fikr mein Dube the sab aur ba-hunar koi na tha

fikr mein dube the sab aur ba-hunar koi na tha
zindagi ki shakh par pukhta samar koi na tha

ga rahe the apni apni dhun mein sab ghazlen magar
'mir'-o-'ghaalib' 'dagh'-o-'hasrat' ya 'jigar' koi na tha

raat-bhar zulmat mein lipti bastiyan kahti rahin
chand tare kahkashan jugnu qamar koi na tha

dekhne mein yun ba-zahir sab hamare sath the
jab saron par dhup aai ham-safar koi na tha

khun ke rishton ki garmi sard thi chaaron taraf
sab tasalli de rahe the chaaragar koi na tha

rind-o-zahid shaikh-o-sufi sab ke sab tishna hi the
kis ko dete mai-kada jab mo'atabar koi na tha

phir ye socha likh hi bhejun haal-e-dil us ko magar
ud chuke the sab kabutar nama-bar koi na tha

zindagi-bhar bhigti palken thin us ki muntazir
hum se badh kar khud se 'zakir' be-khabar koi na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close