firaq-e-shab ki aziyyaton ka kalam dukh hai tamam dukh hai yahan har ek mod par har ek shai ka nam dukh hai tamam dukh hai samajh saka ek bhi na jab wo sawal mera jawab mera lage hai mujh ko ki mera sara kalam dukh hai tamam dukh hai khushi bhi aawe hai aur ghami bhi ye zindagi ka safar hai pyare khushi hai mazhar bahaar ka gham ka nam dukh hai tamam dukh hai qadam jamae khade raho tum na hausle past hone dena hai aane wala jo ek aage maqam dukh hai tamam dukh hai ye siskiyan ye muhib raaten ye be-qarari amir 'hamza' hain rog jitne bhi un sabhi ka 'imam' dukh hai tamam dukh hai