fitrat-e-ahbab se mahram rahe

fitrat-e-ahbab se mahram rahe
khush rahe haalanki sarf-e-gham rahe

jab tak is dar-e-fana mein hum rahe
mubtala-e-gardish-e-paiham rahe

hum bane hain takhta-e-mashq-e-sitam
imtihan-gah-e-wafa mein hum rahe

fasl-e-gul mein bhi raha khauf-e-khizan
hum ba-har-haalat asir-e-gham rahe

gul mein bhi aati rahi bu-e-turab
hasil-e-dauran se hum mahram rahe

gardishon ne talkh kar di zindagi
maut se hum phir bhi na-mahram rahe

un ke jaur-o-zulm se aai na maut
hae ye altaf bhi to kam rahe

kaun si 'bismil' mein aisi baat thi
muddaton is maut pe matam rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close