fitrat ulaT ke KHwab dikhane diye gae

fitrat ulat ke khwab dikhane diye gae
gungon ko bad-zabani ke tane diye gae

rahat ki pairwi mein takalluf ganwa diya
aangan mein ghair log bhi aane diye gae

andhon ki bargah mein aankhen fuzul thin
ek sar-burida jism ko shane diye gae

ek ret ki jabin pe patthar ki thokaren
be-ghar musafiron ko thikane diye gae

pani ki mat tishna-labon ko na thi qubul
sad shukr mujh ko ashk bahane diye gae

ye aasman zamin ki nalain rah gaya
badle mein us ko tare ugane diye gae

hum tirgi ke sath numayan the bazm mein
un ko to un ke ghar se bhi lane diye gae

hum pairahan ke tar se bandhe hue wajud
tasbih ke mizaj ko dane diye gae

do lashe hi to ghodon ke panw ka rizq the
baqi to sare lashe uthane diye gae

kitne zamane lamhon ki ghaflat se mar gae
saat ki bandagi ko zamane diye gae

bujhte hue charagh ki tabinda raushni
wo raushni ki jis ko churane diye gae

sajde meri jabin mein rakkhe gae magar
aankhon mein mujh ko jism basane diye gae

'kazim' kisi ke gham ki rifaqat ka shukriya
mujh ko bhi kuchh charagh jalane diye gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close