fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai ghazab mein jaan dil-e-be-qarar rakhta hai gul-e-chaman na dur-e-shahwar rakhta hai bhara bhara jo badan mera yar rakhta hai latif ruh ki manind jism hai kis ka piyaada kaun waqar-e-sawar rakhta hai juda juda hai hasinan-e-dahr ka andaz har ek tarah ki har gul bahaar rakhta hai fareb-e-husn se allah aadmi ko bacha chale ye pech to rustam ko mar rakhta hai kamal-e-ishq ko pata hun khaksari mein taraf nasheb ke dariya guzar rakhta hai bahaar aai hai bint-ul-inab pe joban hai girah mein dam koi baada-khwar rakhta hai suna hai jab se ki hain dafan us mein aashiq-e-zar qadam zamin pe nahin wo nigar rakhta hai har ek shisha-e-saat falak ko kahta hai ki 'muntahi' se sarasar ghubar rakhta hai