furqat ki bhayanak raaton ko is tarah guzara karta hun dil mujh ko pukara karta hai main tum ko pukara karta hun ab un ke tasawwur se main ne andaz-e-junun bhi sikh liye har khar se baaten karta hun har gul ko ishaara karta hun ye rang-e-junun-e-ishq hai kya is rang-e-junun ko kya kahiye main jis se mohabbat karta hun khud us se kinara karta hun khamosh fazaen dekhti hain ya chand sitare sunte hain jab yaad mujhe tum aate ho jab tum ko pukara karta hun saqi ki nigah-e-mast mujhe jab yaad 'shamim' aa jati hai us waqt hi apne taq se main shishon ko utara karta hun