gae sab bhul shikwe dekh ru-e-yar kya kahiye zaban hairat se meri ho gai be-kar kya kahiye tabassum mein jo us ka munh khula dil bandh gaya wohin mera dil le gaya hanste hi hanste yar kya kahiye agar us ki jagah pahlu mein hota khar behtar tha bahut deta hai mera dil mujhe aazar kya kahiye jala kar aashiyan is fasl-e-gul mein baghban mera jahannum tu ne mujh par kar diya gulzar kya kahiye 'yaqin' ke waqiye ki sun khabar wo bad-guman bola ye diwana to kuchh aisa na tha bimar kya kahiye