gahe makan se suni gah-e-la-makan se suni shikast-e-dil ki sada kya kahun kahan se suni na bu-e-gul ne kaha kuchh na to saba ne kaha hadis-e-barq-o-sharar hum ne aashiyan se suni tamam hasil-e-ayyam jis safar mein luta wo dastan-e-safar umr-e-raegan se suni zamana manzil-e-gum-gashta ki talash mein hai ye baat udti hui gard-e-karwan se suni hai zindagi se jo takhliq-e-fan ka rishta 'naz' tamam umr ye aawaz saz-e-jaan se suni