gahre samundaron mein bil-aKHir utar gae

gahre samundaron mein bil-akhir utar gae
khush-fahmiyon ka zahr piya aur mar gae

hum ahd-e-nau ke log bhi allah ki panah
kasa uthae hath mein apne hi ghar gae

kuchh log ud rahe the hawaon ke dosh par
kya jaane kis khayal se hum bhi udhar gae

kal raat pi-pila ke badi mastiyan huin
aakhir ko thak-thaka ke phir apne hi ghar gae

kya kya na ban rahe the miyan hazrat-e-'nadim'
suraj ko chhune nikle the sae se dar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close