gajron kaliyon ke mausam mein yaad koi jab aata hai ek an-dekha khushbu wala hath mujhe chhu jata hai hiddat kaun mila deta hai sard thithurte jazbon mein sochon par jo barf jami hai kaun use pighlata hai jaane kitne manzar hain jo an-dekhe rah jate hain ek aisa bhi manzar hai jo aankhon mein rah jata hai kirchi kirchi khwab hue to aankhen khun mein dub gain nind ki khidki tod ke koi sari raat jagata hai mere sune aangan mein 'sajjad' meri parchhain hai kis ki bholi soch ka panw aise mein dar aata hai