gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare

gar ek raat guzar yan wo rashk-e-mah kare
ajab nahin ki gada par karam jo shah kare

dikhawe aaina kis munh se us ko munh apna
ki aaftab ko jun sham-e-subh-gah kare

muqabil aate hi yun khinch le hai dil wo shokh
ki jaise kah-ruba jazb barg kah kare

hawas-o-hosh ko chhod aap dil gaya us pas
jab ahl-e-fauj hi mil jaen kya sipah kare

sitam-shiar wafa-dushman aashna-bezar
kaho to aise se kyunkar koi nibah kare

kai tadapte hain aashiq kai sisakte hain
is aarzu mein ki wo sang-dil nigah kare

mohabbat aise ki 'bedar' sakht mushkil hai
jo apni jaan se guzre wo us ki chah kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close