garche main sar se pair talak nok-e-sang tha

garche main sar se pair talak nok-e-sang tha
phir bhi wo mujh se bar-sar-e-paikar-o-jang tha

lab sil gae the apne ana ke sawal par
go dil hi dil mein mujh se wo main us se tang tha

main aa gaya alang ke har dasht har pahad
teri sada pe mujh pe thahar jaana nang tha

duniya tamam aatishin-dhaaron ki zad mein thi
lekin main be-khatar tha ki wo mere sang tha

shishe ki kirchiyan si badan mein utar gain
us ka libas us ki jasamat pe tang tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close