gard-aluda faza binai gard-alud thi

gard-aluda faza binai gard-alud thi
pattharon ke shahr mein sunwai gard-alud thi

pattiyon par thi raqam sare chaman ki dastan
aur chaman ki dastan-arai gard-alud thi

khun mein dubi hui kuchh ungliyan thin soch mein
dur wo tha hashiya-arai gard-alud thi

wo use odhe raha chehre pe khushbu ki tarah
han wahi jis shakhs ki tanhai gard-alud thi

ab ki rut badli to phulon ko pasina aa gaya
ab ki khushbu ki karam-farmai gard-alud thi

main 'tapish' jin raghbaton ko odh kar phirta raha
wo dar-o-diwar wo angnai gard-alud thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close