gardish mein hai zamin bhi kya aasman ke sath

gardish mein hai zamin bhi kya aasman ke sath
duniya badal gai nigah-e-mehrban ke sath

dohrana anjuman mein samajh soch ke use
teri bhi dastan hai meri dastan ke sath

ab main hun aur kunj-e-qafas ki musibaten
wo aashiyan ki baat gai aashiyan ke sath

betabiyon se rabt tha bechainiyon se kaam
guzre hain aise din bhi us aaram-jaan ke sath

roz-e-azal wahi to faqat mustahiq na tha
kuchh gardishen hamein bhi milin aasman ke sath

gham ko tere bhula na saka do-jahan ka gham
tera bhi gham raha hai gham-e-do-jahan ke sath

ummid hi nahin to guzar jaegi yunhi
ek mehrban ke sath ki na-mehrban ke sath

ye soz-o-saz-e-ishq gham-e-jawedan sahi
de umr-e-jawedan bhi gham-e-jawedan ke sath

manzil ka kya yaqin ho batae koi mujhe
jab rahguzar bhi hai rawan karwan ke sath


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close