garm har lamha lahu jism ke andar rakhna khushk aankhen hon magar dil mein samundar rakhna baat niklegi junhi ghar se parai hogi panw kuchh soch ke dahliz se bahar rakhna zulmat-e-shab mein kahin khud hi na thokar khae dushman-e-jaan ke bhi raste mein na patthar rakhna zar, zamin, zor ka sauda jo samae sar mein ru-ba-ru naqsha-e-anjam-e-sikandar rakhna chadhte suraj ki chamak apni jagah hai lekin guzri raaton ke bhi kuchh zehn mein manzar rakhna kuchh na paega ana bech ke darbaron se kaisi hi bhid bane takiya khuda par rakhna is bulandi ka safar sahal nahin hai 'rasikh' har qadam rah-e-mohabbat pe sambhal kar rakhna