gaya hai jab se dikha jalwa wo pari-ruKHsar

gaya hai jab se dikha jalwa wo pari-rukhsar
na khwab dida-e-giryan mein hai na dil ko qarar

hazar rang se phule chaman mein go gulzar
par us baghair khush aati nahin mujhe ye bahaar

ba-rang-e-lala-e-sar mai-kashi nahin tujh bin
ki khun-e-dil se main har roz todta hun khumar

gulon ke munh pe na ye rang-e-ab-o-tab rahe
wo rashk-e-bagh kare gar udhar ko aa ke guzar

ajab nahin ki baha dewe khana-e-mardum
rahe gar ashk-fishan yunhi dida-e-khun-bar

rihai kyunki ho ya-rab main is mein hairan hun
ki ek dil hai mera tis pe dard-o-gham hai hazar

kaha main us but-e-abru-kaman ki khidmat mein
khadang-e-jabr ne tere kiya hai mujh ko nigar

na rahm tere dil-e-sakht mein hai ghair-az-zulm
na mere nala-e-jaan-soz mein asar ai yar

na tab hijr ki rakhta hun ne umid-e-visal
khuda hi jaane ki kya hoga us ka aakhir-kar

har ek din mujhe yun sujhta hai ji tan se
nikal hi jaega ham-rah-e-ah-e-atish-bar

na tu mazar pe aawega ta-dam-e-mahshar
rahegi dida-e-giryan ko hasrat-e-didar

abas tu mujh ko daraata hai apne marne se
hazar tujh se mere mar gae hain aashiq-e-zar

ye sun ke kahne laga wo sitamgar-e-be-rahm
meri bala se jo mar jaega tu ai 'bedar'


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close