gesu ruKH-e-raushan se wo Talne nahin dete

gesu rukh-e-raushan se wo talne nahin dete
din hote hue dhup nikalne nahin dete

aanchal mein chhupa lete hain sham-e-rukh-e-raushan
parwane to jal jaen wo jalne nahin dete

bikhra di wahin zulf zara rukh se jo sarki
kya raat dhale raat wo dhalne nahin dete

kis darja hain be-dard tere hijr ke sadme
dil ko teri yaadon se bahalne nahin dete

dekha hai jise bhi wo giraate hain nazar se
chahe bhi sambhalna to sambhalne nahin dete

gulshan pe udasi ki faza dekh raha hun
wo dard ke mausam ko badalne nahin dete

be-rah na kyunkar hon bhala rah-raw-e-manzil
jab rah-numa rah pe chalne nahin dete

wo samne hote hain to hota hai ye aalam
arman machalte hain machalne nahin dete


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close