ghabra gae the rah ko pur-khar dekh kar himmat bandhi hai qafila-e-salar dekh kar logon ko un pe aaj bhi hai rashk aa raha be-dam bik gae jo kharidar dekh kar aaqa tumhaare dam se hai rangini-e-hayat hum ji rahe hain barish-e-anwar dekh kar chhanw mein koi jal raha hai ye khabar na thi aae the hum to saya-e-diwar dekh kar phir laut kar na ja sake is rahguzar se thahre the yunhi zinat-e-bazar dekh kar har zakhm ab gulab ki manind surkh hai ji khush hua hai shiddat-e-azar dekh kar