ghabrae jitna maut ki dil-bastagi se hum

ghabrae jitna maut ki dil-bastagi se hum
begana utne hote gae zindagi se hum

kyunki badal den neamat-e-gham ko khushi se hum
kis tarah mang laen tabassum kisi se hum

kuchh aisi baaten sikh gae dosti se hum
karte nahin ab apna taaruf kisi se hum

kah do shab-e-firaq ke taron se dub jao
manus ab nahin hain kisi raushni se hum

khamoshiyon ne qissa-e-gham bhi bhula diya
ab baat bhi karen to karen kya kisi se hum

khud apne dil se ho gae begana is tarah
jaise jhijak rahe hon kisi ajnabi se hum

aakhir ko chalne walon ne pahchan hi liya
nikle jo sar jhukae tumhaari gali se hum

shayad isi se ashk bhi aankhon mein aa gae
tarikiyon ko dekh na len raushni se hum

jis ne jala diye hain tamannaon ke charagh
aajiz se ho gae hain usi zindagi se hum

ab 'fazl' hasraten hain na fikr-o-nazar mein zau
jaan nazr kar rahe hain badi bekasi se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close