ghaDi bhar aaj wo mujhse raha KHush

ghadi bhar aaj wo mujh se raha khush
khuda rakkhe use is se siwa khush

ye main jo har tarah nashad-o-na-khush
phir aise se rahe un ki bala khush

kabhi khush hai kabhi wo mujh se na-khush
hamesha kaun duniya mein raha khush

tumhin tum khush to phir ke lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra khush

tumhin tum khush to phir kya lutf-e-sohbat
maza milne ka hai ho dusra khush

khushi ki mil gain do-chaar sansen
ki wo bad-ahd aaya khush gaya khush

jo wo baaton se khush karne pe aate
to hote banda-e-dargah kya khush

samajhte hain ki ye gustakh bhi hai
zara na-khush hain wo mujh se zara khush

kahan tak zabt ab karta hun nala
sitamgar khush rahe mujh se ki na-khush

dar-e-daulat pe the lakhon bhikari
na palta koi mahrum aur na-khush

ilahi-bakht tu bedar-e-baada
adu na-khush rahin aur aashna khush

suni hai barha meri tamanna
kiya hai us ne mujh ko barha khush

khushi se aaj us ne baat kar li
tabiat ho gai be-intiha khush

karo wo kaam jo kal kaam aae
chalo wo chaal jis se ho khuda khush

ilahi daur-e-usmani ho daem
ki hai is ahd mein chhota bada khush

khushi meri kisi ke hath mein hai
hua khush jo kisi ne kar diya khush

safi' meri khushi-o-na-khushi kya
rakkha jis haal mein us ne raha khush


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close