ghairon ke sath baiThe hain is anjuman mein hum

ghairon ke sath baithe hain is anjuman mein hum
kanton se wasta hai magar hain chaman mein hum

samjho na dagh daman-e-dil mein ye phul hain
ab hain qafas-nasib kabhi the chaman mein hum

ruswa na zakhm-e-tir-enazar ho ye khauf hai
hathon se dil chhupae hue hain kafan mein hum

wo husn tha ki husn-e-nazar tha khabar nahin
kuchh dekhte rahe hain teri anjuman mein hum

jage hain khwab se bhi to aalam hai khwab ka
khushbu si pa rahe hain tere pairahan mein hum

thi aarzu chaman ki aur ab dil qafas mein hai
ek ajnabi se aae hue hain watan mein hum

chaha durust chah jatana ghalat hua
sidhi thi rah khoe gae bankpan mein hum

dekhenge jalwa-e-chaman-ara chaman mein hum
zauq-e-nazar se chaak karenge hijab-e-gul

'bekhud' khuda ka shukr buton ki nazar padi
warna gae the gardish-e-charkh-e-kuhan mein hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close