gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke

gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagi hum pe sukhan-war ban ke

wo nahin maut sahi maut nahin nind sahi
koi aa jae shab-e-gham ka muqaddar ban ke

rahbar tum ko banaya hamein malum na tha
rah-rau rah bhatak jate hain rahbar ban ke

is ziyan-khane mein ek qatre pe kya kya guzri
kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke

maut ki nind ke maton pe na kyun rashk aae
jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke

yaad phir aa gain bhuli hui baaten kya kya
phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke

aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz'
bar-ha aankh chhalak jati hai saghar ban ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close