gham-e-hayat kahani hai qissa-KHwan hun main

gham-e-hayat kahani hai qissa-khwan hun main
dil-e-sitam-zada hai raaz-dan hun main

ziyaada is se koi aaj tak bata na saka
ki ek nukta-e-na-qabil-e-bayan hun main

nazar ke samne kaundi thi ek bijli si
mujhe batao khuda-ra ki ab kahan hun main

khizan ne lut liya gulshan-e-shabab magar
kisi bahaar ke arman mein jawan hun main

ye kah rahi hai nazar ki gham-e-afrin jumbish
kisi ke dil ki tabahi ki dastan hun main

khizan kahti thi main shokhi-e-bahaaran hun
bahaar kahti hai rangini-e-khizan hun main

shabab nam hai us jaan-nawaz lamhe ka
jab aadmi ko ye mahsus ho jawan hun main

jahan-e-dard-o-alam pujta hai mujh ko aah
tapish-e-jabin hai lahu sajda aastan hun main

wo din bhi the ki main jaan-e-shabab tha 'akhtar'
ab apne ahd-e-jawani ki dastan hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close