gham ka juzdan ho gaya hun main apni pahchan ho gaya hun main khushbuen bas gain hain rag rag mein jaise gul-dan ho gaya hun main roz mujh mein chitaen jalti hain ek shamshan ho gaya hun main koi mujh ko samajh nahin pata itna aasan ho gaya hun main thaharti hi nahin koi khwahish qasr-e-viran ho gaya hun main meri chhoti si ek hukumat hai jis ka sultan ho gaya hun main dho raha hun main khud ko kandhon par ek shamshan ho gaya hun main mujh ka patthar samajh ke mat todo ab to insan ho gaya hun main