gham ko sabaat hai na khushi ko qarar hai jo kal tha khanda-rez wo aaj ashk-bar hai kahti hai os phul se o be-khud-e-nashat ru-e-khizan bhi zer-e-hijab-e-bahaar hai jab tak jali jala ki hawa aai bujh gai ye zindagi bhi sham-e-sar-e-rah-guzar hai jis ka nafas ki aamad-o-shud par madar ho aisi hayat ka bhi koi eatibar hai ek main hi bad-nasib hun mahrum-e-imbisat duniya ke lab pe zikr bahaaron ka rahe apni bahaar waqf-e-khizan ho chuki to ho har-su jo shor-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai 'asi' tarab-kada tha kabhi ye dil-e-hazin ai wae aaj hasrat-o-gham ka mazar hai