gham na do itna ki meri jaan nikal jae kahin aansuon se jism ki mitti na gal jae kahin pak raha ho jaise lawa jism ki chattan mein tera daman meri aahon se na jal jae kahin dil mein us ki parwarish karna agar be-sud hai ashk ban kar khwab aankhon se nikal jae kahin raat ke aasar hain phir ek zara waqfe ke baad mera suraj bhi numu pa kar na dhal jae kahin teri ye sohbat hai aisi jis pe sadiyan war dun chhod kar mujh ko na ye masum pal jae kahin wo mere ehsas mein lipta hai mausam ki tarah ab meri shakh-e-dil-o-jaan mein na phal jae kahin kah diya 'maqsud' ko apni faqiri hai aziz ho nahin sakta ye banda sar ke bal jae kahin