gham-o-KHushi ke agar silsile nahin chalte

gham-o-khushi ke agar silsile nahin chalte
to mere sath kabhi hausle nahin chalte

ana ke ped pe khilte nahin khulus ke phul
zidon ke sath kabhi faisle nahin chalte

bas ek nigah pe umren nisar hoti hain
mohabbaton ke kabhi silsile nahin chalte

hamare qadmon mein rahte hain raste lekin
hamare sath kabhi marhale nahin chalte

har ek shakhs yahan mir-e-karwan khud hai
isi liye to yahan qafile nahin chalte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close