gham par hain tana-zan to KHushi bhi nibhaiye

gham par hain tana-zan to khushi bhi nibhaiye
sarkar meri baada-kashi bhi nibhaiye

moti se ashk aap ke qadmon ko the aziz
sukhe hue labon ki hansi bhi nibhaiye

pahle to mauj-e-gul thi mere har khayal mein
ab fikr ki ye shoala-rawi bhi nibhaiye

ye kya ki aap sirf parastish karen qubul
mabud-e-shahr meri khudi bhi nibhaiye

be-shak huzur saqi-e-bazm-e-bahaar hain
lekin khud apni tishna-labi bhi nibhaiye

han in hasin aaankhon mein raqsan hai zindagi
palkon ki ho sake to nami bhi nibhaiye

shahzad-gan-e-mumlikat-e-husn ke tufail
hum shairon ki kaj-kulahi bhi nibhaiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close