gham tera mujhe jaan se guzarne nahin deta marna bhi agar chahun to marne nahin deta ek bund bhi payab nazar aati hai ab to ye dar mujhe dariya mein utarne nahin deta haalat pe mauquf nahin apni tabahi qismat ka likha bhi to sanwarne nahin deta phulon se wo har subh uda leta hai surkhi be-rang kali ko bhi nikharne nahin deta marham jise samjha tha zamane ki nazar ne bharte hue zakhmon ko bhi bharne nahin deta har rah ko wo sanp ki manind hai ghere wo rahguzar se bhi guzarne nahin deta 'imrran' main ek umr se patthar ki tarah hun khushbu ki tarah mujh ko bikharne nahin deta