ghamon ke zaKHm uThate rahe KHushi ke liye

ghamon ke zakhm uthate rahe khushi ke liye
taras gae hain mohabbat ki zindagi ke liye

kali tabassum-e-be-sakhta se phul bani
ye lamha kafi hai ab puri zindagi ke liye

ghurub-e-mehr pe kis ne lahu chadhaya hai
ye kis ne khun jalaya hai raushni ke liye

ye kaisi dil ki lagi hai ki apni umr-e-aziz
mitae dete hain hum ek ajnabi ke liye

khud apne jaisa hi insan zindagi mange
ye kaisa waqt-e-khudai hai aadmi ke liye

abhi na todo umid-e-wafa ke phulon ko
mujhe to un ka bharosa tha zindagi ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close