ghamon mein kuchh kami ya kuchh izafa kar rahe hain samajh mein kuchh nahin aata ki hum kya kar rahe hain jo aata hai nazar mein us ko le aate hain dil mein nai tarkib se hum khud ko tanha kar rahe hain nazar karte hain yun jaise bichhadne ki ghadi ho sukhan karte hain aise jaise girya kar rahe hain tumhaare hi talluq se to hum hain is badan mein tumhaare hi liye to ye tamasha kar rahe hain zawal-e-amadgi ab gunjti hai dhadkanon mein so dil se khwahishon ka bojh halka kar rahe hain sukhan tum se ho ya ahbab se ya apne dil se yahi lagta hai hum har baat beja kar rahe hain tumhaari aarzu hone se pahle bhi to hum the so jaise ban pade ab bhi guzara kar rahe hain zara puchhe koi madum hote in dukhon se hamein kis ke bharose par akela kar rahe hain hamein roke hue hai pas-e-namus-e-mohabbat ye mat samjho ki hum duniya ki parwa kar rahe hain ba-juz-sina-kharashi kuchh nahin aata hai lekin zara dekho to hum ye kaam kaisa kar rahe hain hamein is kaam ki mushkil ka andaza hai sahab bade arse se hum bhi tark-e-duniya kar rahe hain jo hogi subh to taqsim ho jaenge phir hum dhali hai sham to khud ko ikattha kar rahe hain junun se itna derina talluq tod denge? are tauba karen 'irfan', ye kya kar rahe hain