ghamze ne uske chori mein dil ki hunar kiya

ghamze ne us ke chori mein dil ki hunar kiya
us khanuman-kharab ne aankhon mein ghar kiya

rang ud chala chaman mein gulon ka to kya nasim
hum ko to rozgar ne be-baal-o-par kiya

nafe jo thin mizaj ko awwal so ishq mein
aakhir unhin dawaon ne hum ko zarar kiya

marta hun jaan den hain watan-dariyon pe log
aur sunte jate hain ki har ek ne safar kiya

kya jaanun bazm-e-aish ki saqi ki chashm dekh
main sohbat-e-sharab se aage safar kiya

jis dam ki tegh-e-ishq khinchi bul-hawas kahan
sun lijiyo ki hum hi ne sina-sipar kiya

dil zakhmi ho ke tujh tain pahuncha to kam nahin
is nim-kushta ne bhi qayamat jigar kiya

hai kaun aap mein jo mile tujh se mast naz
zauq-e-khabar hi ne to hamein be-khabar kya

wo dasht-e-khaufnak raha hai mera watan
sun kar jise khizr ne safar se hazar kiya

kuchh kam nahin hain shoabda-bazon se mai-gusar
daru pila ke shaikh ko aadam se khar kiya

hain chaaron taraf kheme khade gard-baad ke
kya jaaniye junun ne irada kidhar kiya

luknat teri zaban ki hai sahar jis se shokh
yak harf-e-nim-gufta ne dil par asar kiya

be-sharm mahz hai wo gunahgar jin ne 'mir'
abr-e-karam ke samne daman tar kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close